Wednesday, May 12, 2010

kabhi ...

kabhi shabd nahi milte ...
kabhi aarzoo nahi rehti ...
kabhi zindagi nahin milti ...
kabhi maut bewafaa ho jaati ...
kabhi kadam dagmaga jaate hain ...
kabhi do kadam ki doori pe manzil nazar aati ..
kabhi aankh band kar khwaab dekh lete hain ..
kabhi zindagi khuli aankhoon ke saamne sapna ban oojhal ho jaati ...
kabhi mann ek armaan ke peeche hota hai baawala ..
kabhi ek khwahish naasoor ban jaati ...
kehne ko to hai shabd hazaarooon ..
halak se saans honthoon pe hi nahin aati ...
dhadkan ki bhasha ko samajhna hai to mumkin ...
magar humeing wo bhasha samjhani nahin aati ..

Kabhi..
ek lamha guzaarna ho jaata hai mushkil ..
zindagi jab us lamhe ko apni neev banati ...
ek lamha deta hai har gam ...
chaahat jab mukar jaati ..
ek lamhe mein milti hai jannat ..
meherbaan jab ulfat ho jaati ...
ek lamhe ki bandishein hain yeh ...
khwahishoon, aarzoon aur chahatoon ki ranjisheen hai yeh ..
in lamhoon ko samet kar jeevan banate aaye hain hum ..
ek aur lamhe ka bhar dhote aaye hai hum

ek lamha ab jaise guzar na hai paata ..
ek lamha na jaane kyun, rula na paata ..
jaane kaunsa lamha tha jo kahi bichad gaya ..
aane waale lamhoon ke beech mein marasim nazar nahin aata ...
un lamhoon ke bol se geet banati ..
zindagi, ek suriili kavita ban jaati ...
sur kahin koi bichad gaya hai..
jeevan kuch lamhoon ka mohtaaj sa ho gaya hai ...


- Sid.K.Kaul

lafzoon ka kya hai ... dard-e-haal bayaan karte hain ... wo to armaan hai jo dard ko sada jawaan rakhte hain