Thursday, October 08, 2009

ek nagma hai gun gunane ko

Ek uljhan hai kehne ko,
sehne ke liye hazaaron mushkileen hain..

Ek zindagi hai jeene ko,
nibhane ke liye hazazroon rishtey hain..

Ek umr ka bhoj hai uthane ko,
bhoj dhaane ke liye hazaaroon lamhe hain..

Ek ulfat ka sahara hai paane ko,
katne ke liye hazaaroon bandishein hain..

Ek sapna hai saakaar banane ko,
todne ke liye hazaaroon aashiyaanein hain..

Ek shayar bekaraar hai mujhmein samane ko,
unsuni karne ke liye hazaaroon ghazalein hain..

Ek shaksiyat ka mukam hai hasil karne ko,
khone ke liye hazaaroon dil ki tamanaayein hain...

5 comments:

  1. rehney ko koi ashiyana nahin,
    chalo ek sapna hi saja lein....
    kehney ko lafj kam pad gaye hain,
    chalo ankho se hi bayan armaan kar dein....


    ABHI ABHI LIKHA H,WHIILE READING UR GHAJAL!:)
    u write well!!

    ReplyDelete
  2. Beautiful Sid ! specially...Ek zindagi hai jeene ko,
    nibhane ke liye hazazroon rishtey hain...

    Your background of blog makes reading it a strain on eyes:)

    ReplyDelete
  3. yaar last lines bhokaal hain ekdum...
    zabardast :)

    tc bro

    ReplyDelete
  4. Well love every word of it
    but this has got to be the best line :
    Ek shayar bekaraar hai mujhmein samane ko,
    unsuni karne ke liye hazaaroon ghazalein hain..

    ReplyDelete

Let your perceptions flow